Shayari Attitude, Jab Ishq Karta Hoon

Advertisement

Jab Ishq Karta Hoon Main To Toot Kar Karta Hoon,
Ye Kaam Mujhe Jaroorat Ke Hisaab Se Nahin Aata.
जब इश्क करता हूँ मैं तो टूट कर करता हूँ,
ये काम मुझे जरूरत के हिसाब से नहीं आता।

Dekhkar Kiya Karo Logo Se Meri Burai,
Tumhare Tamam Apne Mere Hi Mureed Hain.
देखकर किया करो लोगो से मेरी बुराई,
तुम्हारे तमाम अपने मेरे ही मुरीद हैं।

Koi Jaan Bhi Le Le Harakar Mujhko, To Manzoor Hai,
Dhokha Dene Walon Ko Main Doosra Mauka Nahin Deta.
कोई जान भी ले ले हराकर मुझको तो मंज़ूर है,
धोखा देने वालों को मैं दूसरा मौका नहीं देता।

Advertisement

Dosto Aisa Nahin Ki Kad Ghat Gaye Apne,
Chadar Ko Apni Dekhkar Hum Khud Simat Gaye.
दोस्तो ऐसा नहीं कि कद घट गए अपने,
चादर को अपनी देखकर हम खुद सिमट गए।

Poora Na Kar Sakoon Aisa Vada Nahin Karta,
Daawa Koi Aukaat Se Jyaada Nahin Karta.
पूरा न कर सकूँ ऐसा वादा नहीं करता,
दावा कोई औकात से ज्यादा नहीं करता।

Ilaaj Ye Hai Ki Majboor Kar Diya Jaaun,
Nahin To Yoon Kisi Ki Nahin Suni Humne.
इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ,
नहीं तो यूँ किसी की नहीं सुनी हमने।

Advertisement
Advertisement