Nida Fazli Shayari Collection

Advertisement

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta,
Kahin Zameen Kahin Aasmaan Nahin Milta.

कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता,
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।

Best Of Nida Fazli Shayari

Ab Khushi Hai Na Koi Dard Rulane Wala,
Ham Ne Apna Liya Har Rang Zamane Wala.

अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला,
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला।

Apni Marzi Se Kahaan Apne Safar Ke Ham Hain,
Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Ham Hain.

अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं,
रुख़ हवाओं का जिधर का है उधर के हम हैं।

Kuchh Log Yunhi Shahar Mein Ham Se Bhi Khafa Hain,
Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahin Milti.

कुछ लोग यूँही शहर में हम से भी ख़फ़ा हैं,
हर एक से अपनी भी तबीअ'त नहीं मिलती।

Tum Se Chhoot Kar Bhi Tumhen Bhoolna Aasaan Na Tha,
Tum Ko Hi Yaad Kiya Tum Ko Bhulane Ke Liye.

Advertisement

तुम से छुट कर भी तुम्हें भूलना आसान न था,
तुम को ही याद किया तुम को भुलाने के लिए।

Dushmani Laakh Sahi Khatm Na Keeje Rishta,
Dil Mile Ya Na Mile Haath Milaate Rahiye.

दुश्मनी लाख सही ख़त्म न कीजे रिश्ता,
दिल मिले या न मिले हाथ मिलाते रहिए।

Bachchon Ke Chhote Haathon Ko Chaand Sitaare Chhoone Do,
Chaar Kitaaben Padh Kar Ye Bhi Ham Jaise Ho Jaenge.

बच्चों के छोटे हाथों को चाँद सितारे छूने दो,
चार किताबें पढ़ कर ये भी हम जैसे हो जाएँगे।

Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yoon Kar Len,
Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaaya Jaye.

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें,
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए।

Dhoop Mein Nikalo Ghataon Mein Naha Kar Dekho,
Zindagi Kya Hai Kitaabon Ko Hata Kar Dekho.

धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो,
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।

Yahaan Kisi Ko Koi Raasta Nahin Deta,
Mujhe Gira Ke Agar Tum Sanbhal Sako To Chalo

यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता,
मुझे गिरा के अगर तुम सँभल सको तो चलो।

Advertisement
Advertisement