Best Shayars

Anamika Jain 'Amber' Shayari Collection

Mohabbat Ke Safar Ko Ek Hansi Aagaaz De Dena,
Mera Kal Muskura Uthe Tum Aisa Aaj De Dena,
Vafaen Dekh Lena Tum Tumhare Pyar Ki Khaatir,
Chali Aaoongi Main Sab Chhod Kar Aawaaz De Dena.

मोहब्बत के सफ़र को एक हँसी आग़ाज़ दे देना,
मेरा कल मुस्कुरा उठे तुम ऐसा आज दे देना,
वफ़ाएँ देख लेना तुम तुम्हारी प्यार की ख़ातिर,
चली आऊँगी मैं सब छोड़ कर आवाज़ दे देना।

Anamika Jain Amber Shayari

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Mir Taqi Mir Shayari Collection

Mere Rone Ki Haqeeqat Jis Mein Thi,
Ek Muddat Tak Wo Kagaz Nam Raha.

मेरे रोने की हक़ीक़त जिस में थी,
एक मुद्दत तक वो काग़ज़ नम रहा।

Ab Kar Ke Faraamosh To Naashaad Karoge,
Par Ham Jo Na Honge To Bahut Yaad Karoge

अब कर के फ़रामोश तो नाशाद करोगे,
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Nida Fazli Shayari Collection

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta,
Kahin Zameen Kahin Aasmaan Nahin Milta.

कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता,
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।

Best Of Nida Fazli Shayari

Ab Khushi Hai Na Koi Dard Rulane Wala,
Ham Ne Apna Liya Har Rang Zamane Wala.

अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला,
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Akbar Allahabadi Shayari Collection

Akbar Dabe Nahin Kisi Sultan Ki Fauj Se,
Lekin Shaheed Ho Gaye Bivi Ki Nauj Se(Kathboli).

अकबर दबे नहीं किसी सुल्ताँ की फ़ौज से,
लेकिन शहीद हो गए बीवी की नौज से(कठबोली)।

Akber ilahabadi Shayari Collection

Dam Labon Par Tha Dil-E-Zaar Ke Ghabraane Se,
Aa Gayi Jaan Mein Jaan Aap Ke Aa Jaane Se.

दम लबों पर था दिल-ए-ज़ार के घबराने से,
आ गई जान में जान आप के आ जाने से।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Faraaz Shayari Collection

Abhi Kuchh Aur Karishme Gazal Ke Dekhte Hain,
"Faraaz" Ab Zara Lahja Badal Ke Dekhte Hain.

अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं,
"फ़राज़" अब ज़रा लहजा बदल के देखते हैं।

Ahmad Faraaz Best Shayaris

Aisi Tarikiyaan Aankhon Mein Basi Hain Ki "Faraaz"
Raat To Raat Hai Ham Din Ko Jalate Hain Charaag.

ऐसी तारीकियाँ आँखों में बसी हैं कि 'फ़राज़'
रात तो रात है हम दिन को जलाते हैं चराग़।

[ Read more Shayari → ]