Dard Bhari Shayari

Mita Dete Tere Diye Har Dard Ko

Har Zakhm Kisi Thokar Ki Meharbani Hai,
Meri Zindagi Ki Bas Yahi Ek Kahani Hai,
Mita Dete Tere Diye Har Dard Ko Seene Se,
Par Ye Dard Hi To Usaki Aakhiri Nishani Hai.

हर ज़ख़्म किसी ठोकर की मेहरबानी है,
मेरी ज़िंदगी की बस यही एक कहानी है,
मिटा देते तेरे दिए हर दर्द को सीने से,
पर ये दर्द ही तो उसकी आखिरी निशानी है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dard Kya Hai?

Kho Jao Mujh Mein To Maloom Ho Ki Dard Kya Hai?
Ye Wo Kissa Hai Jo Juban Se Bayan Nahi Hota.

खो जाओ मुझ में तो मालूम हो कि दर्द क्या है?
ये वो किस्सा है जो जुबान से बयाँ नही होता।

Tajurbe Ne Ek Hi Baat Sikhai Hai,
Naya Dard Hi Purane Dard Ki Davai Hai.

तजुर्बे ने एक ही बात सिखाई है,
नया दर्द ही पुराने दर्द की दवाई है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dard-E-Dil Ki Daastaan

Yeh Gazalon Ki Duniya Bhi Badi Ajeeb Hai,
Yahan Aansuon Ke Bhi Jaam Banaye Jate Hain,
Kah Bhi De Agar Dard-E-Dil Ki Daastaan,
Phir Bhi Waah-Waah Hi Pukaara Jaata Hai.

यह ग़ज़लों की दुनिया भी बड़ी अजीब है,
यहाँ आँसुओं के भी जाम बनाये जाते हैं,
कह भी दे अगर दर्द-ए-दिल की दास्तान,
फिर भी वाह-वाह ही पुकारा जाता है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Mere Dil Ke Dard

Mere Dil Ke Dard Ko Kisne Dekha Hai,
Mujhe Bas Mere Khuda Ne Tadapte Dekha Hai,
Ham Tanhai Mein Baithe Rote Hain,
Logon Ne Hame Mahafil Mein Hanste Dekha Hai.

मेरे दिल के दर्द को किसने देखा है,
मुझे बस मेरे खुदा ने तड़पते देखा है,
हम तन्हाई में बैठे रोते हैं,
लोगों ने हमे महफ़िल में हँसते देखा है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Dard Bhari Hakeekat

Ise Ittefaak Samajho Ya Dard Bhari Hakeekat,
Aankh Jab Bhi Nam Hui Wajah Koi Apna Hi Tha.

इसे इत्तेफाक समझो या दर्द भरी हकीकत,
आँख जब भी नम हुई वजह कोई अपना ही था।

Jo Taar Se Nikli Hai Wo Dhun Sabne Suni Hai,
Jo Saaz Par Beeti Hai Wo Dard Kis Dil Ko Pata.

जो तार से निकली है वो धुन सबने सुनी है,
जो साज़ पर बीती है वो दर्द किस दिल को पता।

[ Read more Shayari → ]