ilzaam Shayari

Naam Tha Uske Labon Par

#Bewafa To Wo Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur Ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Labon Par,
Ab Wo Naam Kisi Aur Ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chhorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai.

#बेवफा तो वो खुद थी,
पर इल्ज़ाम किसी और को देती है.
पहले नाम था मेरा उसके लबों पर,
अब वो नाम किसी और का लेती है
कभी लेती थी वादा मुझसे साथ न छोड़ने का,
अब बही वादा किसी और से लेती है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Koi Ilzaam Na Aaye

Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye,
Aaj Tak Wo Mujhe Pehchaan Na Paye,
Khud He Kar Li Bewafai Humne,
Taaki Un par Koi Ilzaam Na Aaye.

जान कर भी वो मुझे जान न पाए,
आज तक वो मुझे पहचान न पाए,
खुद ही कर ली बेवफाई हमने,
ताकि उन पर कोई इलज़ाम न आये।

Koi ilzaam  Na Aaye - ilzaam Shayari

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Iljaam Laga Hai

Udaas Waqt, Udaas Zindagi, Udaas Mausam,
Kitni Cheejo Pe Iljaam Laga Hai Tere Na Hone Se.

उदास वक्त, उदास जिन्दगी, उदास मौसम,
कितनी चीजो पे इल्जाम लगा है तेरे ना होने से।

Meri Najron Ki Taraf Dekh Jamanen Par Na Ja,
Ishq Maasoom Hai Iljaam Lagaane Par Na Ja.

मेरी नजरों की तरफ देख जमानें पर न जा,
इश्क मासूम है इल्जाम लगाने पर न जा।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Har iljaam Ka Hakdaar

Har Iljaam Ka Hakdaar Wo Hame Bana Jaate Hain,
Har Khata Ki Saja Wo Hame Suna Jaate Hain,
Ham Har Baar Chup Rah Jaate Hain,
Kyuki Wo Apana Hone Ka Hak Jata Jaate Hain.

हर इल्जाम का हकदार वो हमे बना जाते है,
हर खता कि सजा वो हमे सुना जाते है,
हम हर बार चुप रह जाते है,
क्योंकि वो अपना होने का हक जता जाते है।

Har ilzaam Ka Hakdaar - ilzaam Shayari

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Ilzaam-E-Bewafai

Tumne Hi Laga Diya Ilzaam-E-Bewafai,
Adalat Bhi Teri Thi Gavaah Bhi Tu Hi Thi.

तूमने ही लगा दिया इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई,
अदालत भी तेरी थी गवाह भी तू ही थी।

Duniya Ko Meri Hakeekat Ka Pata Kuchh Bhi Nahin,
Ilzaam Hazaro Hain Par Khata Kuchh Bhi Nahin.

दुनिया को मेरी हकीकत का पता कुछ भी नहीं,
इल्जाम हजारो हैं पर खता कुछ भी नहीं।

[ Read more Shayari → ]