Maa Shayari

Shayari Maa Ki Lori Ka Jadoo

Bachcha Tha Bhookha Aur Aankhon Mein Ashq Jarur Tha,
Us Farishte Ka Karishma Bhi Ek Fitoor Tha,
God Mein Basi Maya Ne Uss Bhookh Ko Bhula Diya,
Maa Ki Lori Ke Jadoo Ne Usey Phir Se Sula Diya.

बच्चा था भूखा और आँखों में अश्क जरुर था,
उस फरिश्ते का करिश्मा भी एक फितूर था,
गोद में बसी माया ने उस भूख को भुला दिया,
माँ की लोरी के जादू ने उसे फिर से सुला दिया।

Maa Ki Lori Ka Jadoo Best Maa Shayari

Advertisement

Maa Ghar Paidal Chali Aatee Hai

Kya Sahi Hai Kya Galat Vo Hamesha Mujhe Samjhati Hai,
Main Khana Nahin Khata To Vo Bhi Kahan Kuchh Khati Hai.
Aur Apne Bachcho Ke Liye Kuchh Paise Bacha Loon,
Ye Sochakar #Maa Ghar Paidal Chali Aatee Hai.

क्या सही है क्या गलत वो हमेशा मुझे समझाती है,
मैं खाना नहीं खाता तो वो भी कहां कुछ खाती है,
और अपने बच्चो के लिए कुछ पैसे बचा लूँ,
ये सोचकर #मां घर पैदल चली आती है।

Advertisement

Maa Ki Aagosh Mein

Pahado Jaise Sadme Jhelti Hai Umr Bhar Lekin,
Ik Aulad Ki Takleef Se Maa Toot Jati Hai.

पहाड़ो जैसे सदमे झेलती है उम्र भर लेकिन,
इक औलाद की तकलीफ़ से माँ टूट जाती है।

Maa Toot Jaati Hai - Maa Shayari

Kal Maa Ki God Mein, Aaj Maut Ki Aagosh Mein,
Ham Ko Duniya Mein Ye Do Waqt Bade Suhane Se Mile.

कल माँ की गोद में, आज मौत की आग़ोश में,
हम को दुनिया में ये दो वक़्त बड़े सुहाने से मिले।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Maa Shayari, Maa Ki Tasveer

Heart Touching Maa Shayari

Bahut Bechain Ho Jata Hai Jab Kabhi Dil Mera,
Main Apne Pars Mein Rakhi Maa Ki Tasveer Ko Dekh Leta Hoon.

बहुत बेचैन हो जाता है जब कभी दिल मेरा,
मैं अपने पर्स में रखी माँ की तस्वीर को देख लेता हूँ।

Besan Ki Roti Par, Khatti Chatni Jaisi Maa..
Yaad Aati Hai Chauka, Baasan, Chimta, Phoonkni Jaisi Maa.

बेसन की रोटी पर, खट्टी चटनी सी माँ...
याद आती है चौका, बासन, चिमटा, फूंकनी जैसी माँ।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Maa Ki Khidmat

Maa Ki Ajmat Se Achchha Jaam Kya Hoga,
Maa Ki Khidmat Se Achchha Kaam Kya Hoga,
Khuda Ne Rakh Di Ho Jis Ke Kadmo Mein Jannat,
Socho Uske Sar Ka Mukaam Kya Hoga.

माँ की अजमत से अच्छा जाम क्या होगा,
माँ की खिदमत से अच्छा काम क्या होगा,
खुदा ने रख दी हो जिस के कदमों में जन्नत,
सोचो उसके सर का मुकाम क्या होगा।

Maa Sayari - Maa Ki Khidmat

Best Shayari About Care Of Mother

Koi Dua Asar Nahin Karati,
Jab Tak Wo Ham Par Najar Nahin Karti,
Ham Uski Khabar Rakhe Na Rakhe,
Wo Kabhi Hamen Bekhabar Nahin Karti.

कोई दुआ असर नहीं करती,
जब तक वो हम पर नजर नहीं करती,
हम उसकी खबर रखे न रखे,
वो कभी हमें बेखबर नहीं करती।