Hindi Sharab Shayari

Hum Bhi Piya Karte The

Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The,
Yun Na Karo Humse Peene Pilane Ki Baat,
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab,
Utni Hum Paimane Mein Chod Diya Karte The.

वो भी दिन थे जब हम भी पिया करते थे,
यूँ न करो हमसे पीने पिलाने की बात,
जितनी तुम्हारे जाम में है शराब,
उतनी हम पैमाने में छोड़ दिया करते थे।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Ilzaam Sharaab Ko

Nasha Ham Kiya Karte Hain
Ilzaam Sharab Ko Diya Karte Hain,
Kasoor Sharab Ka Nahin Unka Hai
Jiska Chehra Ham Jaam Mein Talash Kiya Karte Hain.

नशा हम किया करते हैं
इल्ज़ाम शराब को दिया करते हैं,
कसूर शराब का नहीं उनका है
जिसका चेहरा हम जाम में तलाश किया करते हैं।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Sharab Ki Botal

Ek Sharab Ki Botal Daboch Rakhi Hai,
Tujhe Bhulane Ki Tarakeeb Soch Rakh Hai.

एक शराब की बोतल दबोच रखी है,
तुझे भुलाने की तरकीब सोच रखी है।

Ham To Badnaam Huye Kuchh Is Kadar Dosto,
Ki Paani Bhi Piyen To Log Sharab Kahate Hain.

हम तो बदनाम हुए कुछ इस कदर दोस्तों,
की पानी भी पियें तो लोग शराब कहते हैं।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Ye Sharab Ki Botlen

Bahut Ameer Hoti Hai Ye Sharab Ki Botlen,
Paisa Chahe Jo Bhi Lag Jaye Sare Gam Khareed Leti Hain.

बहुत अमीर होती है ये शराब की बोतलें,
पैसा चाहे जो भी लग जाए सारे ग़म ख़रीद लेतीं हैं।

Mujhe Aisi Sharab Bata Ai Dost,
Nasha-E-Ishq Utaar Paun Main.

मुझे ऐसी शराब बता ऐ दोस्त,
नशा-ए-इश्क उतार पाऊ मै।

Na Jakhm Bhare, Na Sharab Sahara Hui, 
Na Wo Bapas Lauti Na Mohabbat Dobara Hui.

न जख्म भरे, न शराब सहारा हुई
न वो वापस लौटी न मोहब्बत दोबारा हुई।

Mayakhane Se Poochha Aaj Itna Sannata Kyu Hai,
Bola, Saahab Lahoo Ka Daur Hai Sharab Kaun Peeta Hai.

मयखाने से पूछा आज इतना सन्नाटा क्यों है,
बोला, साहब लहू का दौर है शराब कौन पीता है।

Advertisement

Sharab Peene De

Zaahid Sharab Peene De Masjid Me Baith Kar,
Ya Wo Jagah Bata De Jahaan Par Khuda Na Ho.

ज़ाहिद शराब पीने दे मस्जिद में बैठ कर,
या वो जगह बता दे जहाँ पर ख़ुदा न हो।

Ab To Utani Bhi Baaki Nahin May-Khaane Mein,
Jitni Ham Chhod Diya Karte The Paimaane Mein.

अब तो उतनी भी बाकी नहीं मय-ख़ाने में,
जितनी हम छोड़ दिया करते थे पैमाने में।

Kuchh Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharaab Peeyen Raat Ho Gayi.

कुछ भी बचा न कहने को हर बात हो गई,
आओ कहीं शराब पिएँ रात हो गई।

Pila De Ok Se Saaqi Jo Ham Se Nafarat Hai,
Piyaala Gar Nahin Deta Na De Sharab To De.

पिला दे ओक से साक़ी जो हम से नफ़रत है,
पियाला गर नहीं देता न दे शराब तो दे।

Shikan Na Daal Maathe Par Sharab Dete Huye,
Ye Muskuraati Huyi Cheez Muskura Ke Pila.

शिकन न डाल माथे पर शराब देते हुए,
ये मुस्कुराती हुई चीज़ मुस्कुरा के पिला।