Akbar Allahabadi Shayari Collection

Advertisement

Akbar Dabe Nahin Kisi Sultan Ki Fauj Se,
Lekin Shaheed Ho Gaye Bivi Ki Nauj Se(Kathboli).

अकबर दबे नहीं किसी सुल्ताँ की फ़ौज से,
लेकिन शहीद हो गए बीवी की नौज से(कठबोली)।

Akber ilahabadi Shayari Collection

Dam Labon Par Tha Dil-E-Zaar Ke Ghabraane Se,
Aa Gayi Jaan Mein Jaan Aap Ke Aa Jaane Se.

दम लबों पर था दिल-ए-ज़ार के घबराने से,
आ गई जान में जान आप के आ जाने से।

Ab To Hai Ishq-E-Butaan Mein Zindgani Ka Maza,
Jab Khuda Ka Saamna Hoga To Dekha Jaega.

अब तो है इश्क़-ए-बुताँ में ज़िंदगानी का मज़ा,
जब ख़ुदा का सामना होगा तो देखा जाएगा।

Aai Hogi Kisi Ko Hijr Mein Maut,
Mujh Ko To Neend Bhi Nahin Aati.

आई होगी किसी को हिज्र में मौत,
मुझ को तो नींद भी नहीं आती।

Aah Jo Dil Se Nikali Jaegi,
Kya Samajhte Ho Ki Khaali Jaeygi.

आह जो दिल से निकाली जाएगी,
क्या समझते हो कि ख़ाली जाएगी।

Ishq Ke Izhaar Mein Har-Chand Rusvai To Hai,
Par Karoon Kya Ab Tabiyat Aap Par Aai To Hai.

इश्क़ के इज़हार में हर-चंद रुस्वाई तो है,
पर करूँ क्या अब तबीअत आप पर आई तो है।

Ishq Naazuk-Mizaaj Hai Behad,
Aql Ka Bojh Utha Nahin Sakta.

इश्क़ नाज़ुक-मिज़ाज है बेहद,
अक़्ल का बोझ उठा नहीं सकता।

Andaz Bhi Hai Shokhi Bhi Tabassum Bhi Haya Bhi,
Zaalim Mein Aur Ik Baat Hai Is Sab Ke Siva Bhi.

अंदाज़ भी है शोख़ी भी तबस्सुम भी हया भी,
ज़ालिम में और इक बात है इस सब के सिवा भी।

Is Gulistaan Mein Bahut Kaliyan Mujhe Tadpa Gayi,
Kyun Lagi Thi Shaakh Mein Kyun Be-Khile Murajha Gayi.

इस गुलिस्ताँ में बहुत कलियाँ मुझे तड़पा गई,
क्यूँ लगी थीं शाख़ में क्यूँ बे-खिले मुरझा गई।

Gamza Nahin Hota Ki Ishara Nahin Hota,
Aankh Un Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahin Hota.

Advertisement

ग़म्ज़ा नहीं होता कि इशारा नहीं होता,
आँख उन से जो मिलती है तो क्या क्या नहीं होता।

Jo Kaha Maine Ki Pyar Aata Hai Mujh Ko Tum Par,
Hans Ke Kahne Laga Aur Aapko Aata Kya Hai.

जो कहा मैंने कि प्यार आता है मुझ को तुम पर,
हँस के कहने लगा और आपको आता क्या है।

Duniya Mein Hoon Duniya Ka Talabgaar Nahin Hoon,
Baazaar Se Guzra Hoon Khareedaar Nahin Hoon.

दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ,
बाज़ार से गुज़रा हूँ ख़रीदार नहीं हूँ।

Budhon Ke Saath Log Kahaan Tak Wafa Karen,
Budhon Ko Bhi Jo Maut Na Aaye To Kya Karen.

बूढ़ों के साथ लोग कहाँ तक वफ़ा करें,
बूढ़ों को भी जो मौत न आए तो क्या करें।

Bas Jaan Gaya Main Tiri Pahchaan Yahi Hai,
Tu Dil Mein To Aata Hai Samajh Mein Nahin Aata.

बस जान गया मैं तिरी पहचान यही है,
तू दिल में तो आता है समझ में नहीं आता।

Mazhabi Bahas Maine Ki Hi Nahin,
Faltu Aql Mujh Mein Thi Hi Nahin.

मज़हबी बहस मैं ने की ही नहीं,
फ़ालतू अक़्ल मुझ में थी ही नहीं।

Ye Dilbari Ye Naaz Ye Andaaz Ye Jamaal,
Insan Kare Agar Na Tiri Chaah Kya Kare.

ये दिलबरी ये नाज़ ये अंदाज़ ये जमाल,
इंसाँ करे अगर न तिरी चाह क्या करे।

Rahta Hai Ibadat Mein Hamen Maut Ka Khatka,
Ham Yaad-E-Khuda Karte Hain Kar Le Na Khuda Yaad.

रहता है इबादत में हमें मौत का खटका,
हम याद-ए-ख़ुदा करते हैं कर ले न ख़ुदा याद।

Shaikh Apni Rag Ko Kya Karen Reshe Ko Kya Karen,
Mazhab Ke Jhagde Chhoden To Peshe Ko Kya Karen.

शैख़ अपनी रग को क्या करें रेशे को क्या करें,
मज़हब के झगड़े छोड़ें तो पेशे को क्या करें।

Log Kahte Hain Badalta Hai Zamana Sab Ko,
Mard Wo Hai Jo Zamane Ko Badal Dete Hain.

लोग कहते हैं बदलता है ज़माना सब को,
मर्द वो हैं जो ज़माने को बदल देते हैं।

Vasl Ho Ya Firaaq Ho Akbar,
Jagna Raat Bhar Museebat Hai.

वस्ल हो या फ़िराक़ हो 'अकबर',
जागना रात भर मुसीबत है।

Advertisement
Advertisement