Daag Dehlvi Shayari Collection

Advertisement

Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Par Humein Aitbaar Hota.
तेरे वादे पर सितमगर अभी और सब्र करते,
अगर अपनी जिन्दगी पर हमें एतबार होता।

Maut Ko Dosh Dein, Takdeer Ko Royein, Mujhe Kosein,
Mere Qatil Ka Charcha Kyun Hai Mere Sogwaaron Mein.
मौत को दोष दें, तकदीर को रोयें, मुझे कोसें
मेरे कातिल का चर्चा क्यों है मेरे सोगवारों में।

Aur Honge Teri Mehfil Se Ubharne Wale,
Hazrat-e-Daag Jahaan Baith Gaye Baith Gaye.
और होंगे तिरी महफ़िल से उभरने वाले,
हज़रत-ए-दाग़ जहाँ बैठ गए बैठ गए।

Heart Touching Shayari By Dagh Dehlvi

Daag Dushman Se Bhi Jhukkar Miliye,
Kuchh Ajeeb Cheej Hai Milansaari.
दाग दुशमन से भी झुककर मिलिए,
कुछ अजीब चीज है मिलनसारी।

Ai Chaand Tu Kis Majhab Ka Hai?
Eid Bhi Teri Aur Karvachauth Bhi Tera.
ऐ चाँद तू किस मजहब का है ?
ईद भी तेरी और करवाचौथ भी तेरा।

Ab Utar Aaye Hain Woh Tareef Par,
Hum Jo Aadi Ho Gaye Dushnaam Ke.
अब उतर आये हैं वह तारीफ पर,
हम जो आदी हो गये दुश्नाम के।

Wohi Hum The Ki Roton Ko Hansa Dete The,
Wohi Hum Hain Ki Thamta Nahin Aansoo Apna.
वही हम थे कि रोतों को हंसा देते थे,
वही हम हैं कि थमता नहीं आँसू अपना।

Dagh Dehlvi Best Shayari

Advertisement

Aap Pachhtaayen Nahin Jaur Se Tauba Na Karein,
Aap Ke Sar Ki Qasam Daag Ka Haal Achchha Hai.
आप पछताएँ नहीं जौर से तौबा न करें,
आप के सर की क़सम दाग़ का हाल अच्छा है।

Dil Ka Kya Haal Kahoon Subh Ko Jab Us But Ne,
Le Ke Angdai Kaha Naaz Se Hum Jaate Hain.
दिल का क्या हाल कहूँ सुब्ह को जब उस बुत ने,
ले के अंगड़ाई कहा नाज़ से हम जाते हैं।

Ye To Nahin Ki Tum Sa Jahan Mein Haseen Nahin,
Is Dil Ko Kya Karoon Ye Bahlta Kaheen Nahin.
ये तो नहीं कि तुम सा जहाँ में हसीं नहीं,
इस दिल को क्या करूँ ये बहलता कहीं नहीं।

Tumhara Dil Mire Dil Ke Barabar Ho Nahin Sakta,
Wo Sheesha Ho Nahin Sakta Ye Patthar Ho Nahin Sakta.
तुम्हारा दिल मिरे दिल के बराबर हो नहीं सकता,
वो शीशा हो नहीं सकता ये पत्थर हो नहीं सकता।

Dagh Dehlvi Short Hindi Urdu Shayari

Laakh Dene Ka Ek Dena Tha,
Dil-E-Be-Mudda Diya Tu Ne.
लाख देने का एक देना था,
दिल-ए-बे-मुद्दआ दिया तूने।

Saakiya Tishnagi Ki Taab Nahin,
Jahar De De Agar Sharaab Nahin.
साकिया तिश्नगी की ताब नहीं,
जहर दे दे अगर शराब नहीं।

Itni Bhi Achchhi Nahin Bekarari,
Ab Aapse Mohabbat Kam Karenge.
इतनी भी अच्छी नहीं बेकरारी,
अब आपसे मोहब्बत कम करेंगे।

Arz-e-Ahwaal Ko Gila Samjhe,
Kya Kaha Main Ne Aap Kya Samjhe.
अर्ज़-ए-अहवाल को गिला समझे,
क्या कहा मैं ने आप क्या समझे।

Kaash Wo Din Laut Aaye
Jab Neend Badi Befikr Aati Thi,
Aankhen Khulti Thi Roj
Nayi Duniya Najar Aati Thi.
काश वो दिन लौट आये
जब नींद बड़ी बेफिक्र आती थी,
आँखें खुलती थी रोज
नयी दुनिया नजर आती थी।

Advertisement
Advertisement