Deedaar Kafi Hai, Deedar Shayari

Advertisement

Ye Neendon Ki Hai Khwahish Tera Khwabon Mein Aana,
Najron Ka Kasoor Nahin Jo Tera Deedar Karti Hain.

ये नींदों की है ख्वाहिश तेरा ख्वाबों में आना,
नजरों का कसूर नहीं जो तेरा दीदार करती हैं।

Tera Deedar Shayari

Pyar Ka Mara Hoon, Ek Tera #Deedaar Kafi Hai,
Har Ek Dava Se Behtar, Najar-E-Yaar Kafi Hai.

प्यार का मारा हूँ, एक तेरा #दीदार काफी है,
हर एक दवा से बेहतर, नजर-ए-यार काफी है।

Kuchh Nazar Aata Nahin Us Ke Tasavvur Ke Siva,
Hasrat-E-Deedar Ne Aankhon Ko Andha Kar Diya.

Advertisement

कुछ नज़र आता नहीं उस के तसव्वुर के सिवा,
हसरत-ए-दीदार ने आँखों को अंधा कर दिया।

Khwab Hi Mein Nazar Aa Jaaye Shab-E-Hijr Kahin,
So Mujhe Hairat-E-Deedaar Ne Sone Na Diya.

ख्वाब ही में नज़र आ जाये शब्-ए-हिज्र कहीं,
सो मुझे हैरत-ए-दीदार ने सोने न दिया।

Deedar Tera Kiya Hamne, Aaj Gairon Ki Katar Se,
Na Nazar-E-Inaayat Hui, Na Rooh Ko Sukoon Mila.

दीदार तेरा किया हमने, आज गैरों की कतार से,
न नज़र-ए-इनायत हुई, न रूह को सुकून मिला।

Ham To Unke Deedar Ke Bahane Aate The Tere Dar Pe,
Maaf Karna Khuda Agar Hamse Ibadat Na Hui To.

हम तो उनके दीदार के बहाने आते थे तेरे दर पे,
माफ़ करना खुदा अगर हमसे इबादात न हुई तो।

Advertisement
Advertisement