Khwaab Ik Inaayat Hai

Advertisement

Khwaab Baise To Ik Inaayat Hai,
Aankh Khul Jaye To Museebat Hai.

ख़्वाब वैसे तो इक इनायत है,
आँख खुल जाए तो मुसीबत है।

Zeena Muhaal Kar Rakha Hai Meri In Aankhon Ne,
Khuli Ho To Talaash Teri Band Ho To Khwaab Tere.

ज़ीना मुहाल कर रखा है मेरी इन आँखों ने,
खुली हो तो तलाश तेरी बंद हो तो ख्वाब तेरे।

Khwaab Mein Bhi To Nazar Bhar Ke Na Dekha Unko,
Ye Bhi Aadaab-E-Mohabbat Ko Gavaara Na Hua.

ख़्वाब में भी तो नज़र भर के न देखा उनको,
ये भी आदाब-ए-मोहब्बत को गवारा न हुआ।

Advertisement

Kal Kahin Khwaab Hakeekat Mein Badal Jayenge,
Aaj Jo Khwaab Faqat Khwaab Najar Aate Hain.

कल कहीं ख्वाब हकीकत में बदल जायेंगे,
आज जो ख्वाब फ़क़त ख्वाब नजर आते हैं।

Khwaab Hi Khwaab Kab Talak Dekhoon,
Kaash Tujh Ko Bhi Ik Jhalak Dekhoon.

ख़्वाब ही ख़्वाब कब तलक देखूँ,
काश तुझ को भी इक झलक देखूँ।

Chhu Jaate Ho Tum Mujhe Har Roj Ek Naya Khvaab Bankar,
Ye Duniya To Khamkha Kahti Hai Ki Tum Mere Kareeb Nahin.

छु जाते हो तुम मुझे हर रोज एक नया ख्वाब बनकर,
ये दुनिया तो खामखा कहती है कि तुम मेरे करीब नहीं।

Advertisement
Advertisement