Na Nafraten Paali Gayi

Advertisement

Na Mohabbat Sambhali Gayi, Na Nafraten Paali Gayi,
Afsos Hai Us Jindagi Ka, Jo Tere Peechhe Khali Gayi.

न मोहब्बत संभाली गई, न नफरतें पाली गईं,
अफसोस है उस जिंदगी का, जो तेरे पीछे खाली गई।

Nafrat Shayari - Na Nafraten Paali Gayin

Mohabbat Karne Se Fursat Nahin Mili Yaaro,
Varna Ham Karke Batate Nafrat Kisko Kahte Hain.

मोहब्बत करने से फुरसत नहीं मिली यारो,
वरना हम करके बताते नफरत किसको कहते है।

Ehsaas Badal Jaate Hain Bas Aur Kuchh Nahin,
Varna Nafrat Aur Mohabbat Ek Hi Dil Mein Hoti Hai.

एहसास बदल जाते हैं बस और कुछ नहीं,
वरना नफरत और मोहब्बत एक ही दिल में होती है।

Advertisement

Kuchh Juda Sa Hai Mere Mahaboob Ka Andaaz,
Najar Bhi Mujh Par Hai Aur Nafrat Bhi Mujhse Hi.

कुछ जुदा सा है मेरे महबूब का अंदाज,
नजर भी मुझ पर है और नफरत भी मुझसे ही।

Wo Nafraten Paale Rahe Ham Pyar Nibhate Rahe,
Lo Ye Zindagi Bhi Kat Gayi Khali Haath Si.

वो नफरतें पाले रहे हम प्यार निभाते रहे,
लो ये जिंदगी भी कट गयी खाली हाथ सी।

Phir Yoon Hua Ke Gair Ko Dil Se Laga Liya,
Andar Wo Nafaraten Thi Ke Baahar Ke Ho Gaye.

फिर यूँ हुआ के गैर को दिल से लगा लिया,
अंदर वो नफरतें थी के बाहर के हो गये।

Advertisement
Advertisement