Teri Tasveer Baaki Hai

Advertisement

Armaan Tamaam Umr Ke Seene Mein Dafn Hain,
Hum Chalte-Firte Log Majaaron Se Kam Nahin.
अरमाँ तमाम उम्र के सीने में दफ्न है,
हम चलते-फिरते लोग मजारों से कम नहीं।

Abhi To Chand Lafzon Mein Sameta Hai Tujhe Maine,
Abhi To Meri Kitaabo Mein Teri Tasveer Baaki Hai.
अभी तो चंद लफ़्ज़ों में समेटा है तुझे मैंने,
अभी तो मेरी किताबो में तेरी तस्वीर बाकी है।

Riste Hain Shakh-Shakh Par Phoolon Ke Aable,
Gulshan Mein Aaye Hain Ki Bayaanban Mein Aaye Hain.
रिसते है शाख-शाख पर फूलों के आबले,
गुलशन में आये हैं कि बयाँबां में आये हैं।

Advertisement

Dil Ke Fafole Jal Uthhe Seene Ke Daag Se,
Iss Ghar Ko Aag Lag Gayi Ghar Ke Charag Se.
दिल के फफोले जल उठे सीने के दाग से,
इस घर को आग लग गई घर के चराग से।

Tod Le Jaate Hain Patton Ko Gujarne Wale,
Itni Neechi Mere Ahsaas Ki Daali Kyon Hai.
तोड़ ले जाते हैं पत्तों को गुजरने वाले,
इतनी नीची मेरे अहसास की डाली क्यों है।

Advertisement
Advertisement