Chaand Bhi Hairan

Advertisement

Chaand Bhi Hairan... Dariya Bhi Pareshani Mein Hai,
Aks Kis Ka Hai Ye Itni Roshni Paani Mein Hai.

चाँद भी हैरान... दरिया भी परेशानी में है,
अक्स किस का है ये इतनी रौशनी पानी में है।

Chaand Shayari - Chaand Bhi Hairaan

Chaand Mein Nazar Kaise Aae Teri Soorat Mujhko,
Aandhiyon Se Aasmaan Ka Rang Maila Ho Gaya.

चाँद में नज़र कैसे आए तेरी सूरत मुझको,
आँधियों से आसमाँ का रंग मैला हो गया।

Subah Hui Ki... Chhedne Lagta Hai Sooraj Mujhko,
Kahta Hai Bada Naaz Tha Apne Chaand Par Ab Bolo.

सुबह हुई कि... छेड़ने लगता है सूरज मुझको,
कहता है बड़ा नाज़ था अपने चाँद पर अब बोलो।

Advertisement

Wo Chaand Kah Ke Gaya Tha Ki Aaj Niklega,
To Intizaar Mein Baitha Hua Hun Sham Se Hi Main.

वो चाँद कह के गया था कि आज निकलेगा,
तो इंतिज़ार में बैठा हुआ हूँ शाम से ही मैं।

Ai Chaand Chala Ja Kyon Aaya Hai Tu Meri Chaukhat Par,
Chhod Gaya Wo Shakhs Jiske Dhokhe Mein Tujhe Dekhte The.

ऐ चाँद चला जा क्यों आया है तू मेरी चौखट पर,
छोड़ गया वो शख्स जिसके धोखे में तुझे देखते थे।

Raat Ko Roz Doob Jata Hai...
Chaand Ko Tairana Sikhana Hai Mujhe.

रात को रोज़ डूब जाता है...
चाँद को तैरना सिखाना है मुझे।

Mujhe Ye Zid Hai Kabhi Chaand Ko Aseer Karoon,
So Ab Ke Dariya Mein Ek Daera Banana Hai.

मुझे ये ज़िद है कभी चाँद को असीर करूँ,
सो अब के दरिया में एक दाएरा बनाना है।

Advertisement
Advertisement