Bhookhe Bachche Ko

Advertisement

Sula Diya Maa Ne Bhookhe Bachche Ko Ye Kahkar,
Pariyaan Aaengi Sapno Mein Rotiyaan Lekar.

सुला दिया माँ ने भूखे बच्चे को ये कहकर,
परियां आएंगी सपनों में रोटियां लेकर।

Ameeri Ka Hisaab To Dil Dekh Ke Keejiye Saaheb,
Varna Gareebi To Kapdo Se Hi Jhalak Jaati Hai.

अमीरी का हिसाब तो दिल देख के कीजिये साहेब,
वरना गरीबी तो कपड़ो से ही झलक जाती है।

Bhookh Se Bilakhte Huye Wo Phir Nahin Soya
Ek Aur Raat Bhari Padi Gareebi Par.

Advertisement

भूख से बिलखते हुए वो फिर नहीं सोया
एक और रात भारी पड़ी गरीबी पर।

Kaise Mohabbat Karoon Bahut Gareeb Hoon Saahab,
Log Bikte Hain Aur Main Khareed Nahin Paata.

कैसे मोहब्बत करूं बहुत गरीब हूँ साहब,
लोग बिकते हैं और मैं खरीद नहीं पाता।

Un Gharon Mein Jahaan Mitti Ke Ghade Rahte Hain,
Kad Mein Chhote Hon Magar Log Bade Rahte Hain.

उन घरों में जहाँ मिट्टी के घड़े रहते हैं,
क़द में छोटे हों मगर लोग बड़े रहते हैं।

Advertisement
Advertisement