Janaaja Bhaari Tha Gareeb Ka

Advertisement

Janaaja Bahut Bhaari Tha Us Gareeb Ka,
Shayad Saare Aramaan Saath Liye Ja Raha Tha.

जनाजा बहुत भारी था उस गरीब का,
शायद सारे अरमान साथ लिए जा रहा था।

Ajeeb Mithas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Mein Bhi,
Jise Bhi Mauka Milta Hai Wo Peeta Jarur Hai.

अजीब मिठास है मुझ गरीब के खून में भी,
जिसे भी मौका मिलता है वो पीता जरुर है।

Wo Jinke Haath Mein Har Wakt Chhaale Rahte Hain,
Aabaad Unheen Ke Dam Par Mahal Wale Rahte Hain.

वो जिनके हाथ में हर वक्त छाले रहते हैं,
आबाद उन्हीं के दम पर महल वाले रहते हैं।

Advertisement

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi, Ham Gareebo Ne Bekasi Bechi,
Chand Saanse Khareedne Ke Liye Roj Thodi Si Zindagi Bechi.

कभी आंसू कभी ख़ुशी बेची, हम गरीबों ने बेकसी बेची,
चंद सांसे खरीदने के लिए रोज थोड़ी सी जिन्दगी बेची।

Rukhi Roti Ko Baant Kar Khate Huye Dekha Maine,
Sadak Kinare Wo Bhikhari Shahanshaah Nikla.

रुखी रोटी को बाँट कर खाते हुये देखा मैंने,
सड़क किनारे वो भिखारी शहंशाह निकला।

Hazaron Dost Ban Jaate Hai, Jab Paisa Paas Hota Hai,
Toot Jata Hai Gareebi Mein... Jo Rishta Khaas Hota Hai.

हजारों दोस्त बन जाते है, जब पैसा पास होता है,
टूट जाता है गरीबी में... जो रिश्ता ख़ास होता है।

Advertisement
Advertisement