Ashq Shayari

Meri Aankhon Ke Aansoo

Meri Aankhon Ke Aansoo Kah Rahe Hain Mujhse,
Ab Dard Itna Hai Ki Saha Nahin Jata,
Mat Rok Palko Se Khul Kar Chhalkane De,
Ab In Aankhon Mein Tham Kar Raha Nahin Jata.

मेरी आंखों के आंसू कह रहे हैं मुझसे,
अब दर्द इतना है कि सहा नहीं जाता,
मत रोक पलको से खुल कर छलकने दे,
अब इन आँखों में थम कर रहा नहीं जाता।

Aansu Shayari - Meri Aankhon Ke Aansoo

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Aansuo Ko Chhupa Kar Rakhte Hain

Dil Mein Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain,
Honthon Pe Muskurahat Saza Ke Rakhte Hain,
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deti Hai,
Isliye Ham Apne Aansuo Ko Chhupa Kar Rakhte Hain.

दिल में हर राज़ दबा कर रखते हैं,
होंठों पे मुस्कुराहट सज़ा के रखते हैं,
यह दुनिया सिर्फ ख़ुशी में साथ देती है,
इसलिए हम अपने आँसुओं को छुपा कर रखते हैं।

Aansu Shayari in Hindi

Best Aansoo Shayari Hindi

Koi Duhkh Basa Hai Unki Aankhon Mein Shayad,
Ya Mujhe Khud Hi Vaham Sa Hua Hai Shayad,
Jab Poochha Kya Bhool Gaye Ho Hame Tum,
Ponchh Kar Aansoo Apni Aankh Se Usne Bhi Kaha Shayad.

कोई दुःख बसा है उनकी आँखों में शायद,
या मुझे खुद ही वहम सा हुआ है शायद,
जब पूछा क्या भूल गए हो हमे तुम,
पोंछ कर आँसू अपनी आँख से उसने भी कहा शायद।

Dil Ki Baat Hothon Par Laakar Ab Tak Ham Duhkh Sahte Hain,
Ham Ne Suna Tha Is Zamane Mein Dil Wale Bhi Rahte Hain,
Beet Gaya Saavan Ka Maheena Mausam Ne Nazren Badalin,
Lekin In Pyasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Bahte Hain.
~ Habib Jalib

दिल की बात होंठो पर लाकर अब तक हम दुःख सहते हैं,
हम ने सुना था इस ज़माने में दिल वाले भी रहते हैं,
बीत गया सावन का महीना मौसम ने नज़रें बदलीं,
लेकिन इन प्यासी आँखों से अब तक आँसू बहते हैं।
~ Habib Jalib

Advertisement

Aansoo Bahana Yaad Hai

Chupke-Chupke Raat Din Aansoo Bahaana Yaad Hai,
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai.
~ Hasarat Mohaani

चुपके-चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है,
हम को अब तक आशिक़ी का वो ज़माना याद है
~ हसरत मोहानी

Dupatte Se Apane Wo Ponchhta Hai Aansoo Mere,
Rone Ka Bhi Apana Kuchh Alag Hi Maza Hai.

दुपट्टे से अपने वो पोंछता है आँसू मेरे,
रोने का भी अपना कुछ अलग ही मज़ा है।

New Aansu Shayari

Kya Likhoon Hakeekat-E-Dil Aarazoo Behos Hai,
Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.

क्या लिखूं हकीकत-ए-दिल आरज़ू बेहोस है,
खत पर आँसू बह रहे हैं कलम खामोश है।

Hamen Maloom Hai Tumne Dekhi Hain Baarish Ki Boonden,
Magar Meri Aankhon Se Ye Sawan Aaj Bhi Haar Jaata Hai.

हमें मालूम है तुमने देखी हैं बारिश की बूँदें,
मगर मेरी आँखों से ये सावन आज भी हार जाता है।

Bah Jati Kash Yaaden Bhi Aansuon Ke Saath,
To Ek Din Ham Bhi Ro Lete Tasalli Se Baith Kar.

बह जाती काश यादें भी आँसुओ के साथ,
तो एक दिन हम भी रो लेते तसल्ली से बैठ कर।

Painful Ashq Shayari in Hindi

Muskurane Ki Aarzoo Mein Chhupaya Jo Dard Ko,
Ashq Hamari Aankhon Mein Patthar Ke Ho Gaye.

मुस्कुराने की आरजू में छुपाया जो दर्द को,
अश्क हमारी आंखों में पत्थर के हो गए।

Advertisement