Zamana Shayari

Shayari Karega Zamana Kadar Humari

Apna Zamana Aap Banaate Hain Ahle-Dil,
Hum Wo Nahin Hain Jisko Zamana Bana Gaya.
अपना जमाना आप बनाते हैं अहले-दिल,
हम वो नहीं है जिसको जमाना बना गया।

Karega Zamana Kadar Humari Bhi Ek Din Dekh Lena,
Bas Jara Ye Bhalai Ki Buri Aadat Chhoot Jane Do.
करेगा जमाना कदर हमारी भी एक दिन देख लेना,
बस जरा ये भलाई की बुरी आदत छुट जाने दो।

Zamana Shayari

Yoon To Khush Hai, Zamana Meri Shohrat Se,
Magar Kuchh Log Hain, Jinka Dam Nikalta Hai.
यूं तो खुश है, जमाना मेरी शोहरत से,
मगर कुछ लोग हैं, जिनका दम निकलता है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Khushiyon Mein Sara Zamana Hai

Sirf Toone Hi Kabhi Mujhko Apna Na Samjha,
Zamana To Aaj Bhi Mujhe Tera Deewana Kehta Hai.
सिर्फ तूने ही कभी मुझको अपना न समझा,
जमाना तो आज भी मुझे तेरा दीवाना कहता है।

Zindagi Ki Hakeekat Ko Bas Itna Hi Jaana Hai,
Dard Mein Akele Hain Aur Khushiyon Mein Sara Zamana Hai.
जिन्दगी की हकीकत को बस इतना ही जाना है,
दर्द में अकेले हैं और खुशियों में सारा जमाना है।

Chand Ko Apni Chaukhat Pe Sajane Ki Khwaahish Na Rakh,
Ye Zamana To Aankhon Se Khwaab Bhi Chheen Leta Hai.
चाँद को अपनी चौखट पे सजाने की ख्वाहिस न रख,
ये जमाना तो आँखों से ख्वाब भी छीन लेता है।

[ Read more Shayari → ]

Advertisement

Keh Du Zamane Se

Zindagi Hai Nadan Isliye Chup Hoon,
Dard Hi Dard Subah Sham Isliye Chup Hoon
Keh Du Zamane Se Dastan Apni,
Usme Ayega Tera Naam Isliye Chup Hoon.

ज़िन्दगी है नादान इसलिए चुप हूँ,
दर्द ही दर्द सुबह शाम इसलिए चुप हूँ
कह दू ज़माने से दास्ताँ अपनी,
उसमे आयेगा तेरा नाम इसलिए चुप हूँ।

Advertisement